Tuesday, December 16, 2014

Main aur Meri Gareebi - Ek Amar Katha


Main apne doston se chilla chilla ke kehta rehta hoon
Ki main gareeb hoon... bahut zyaada gareeb hoon
Magar log meri baat maante hi nahi hain
Isliye aakhirkaar aaj main bata ke rahunga
Wahi, jo aaj tak maine kaha nahi
Jiske kaaran aap logon ne abhi tak suna nahi

Lo suno!


Main to itna gareeb hoon
Ki har dusre din mujhe bank ka phone aata hai
Yeh kehte hue "sir, loan le lo"
Ab unse achcha meri aarthik stithi kaun jaanega


Main to itna gareeb hoon
Ki kismat par hasta hoon, jab koi bikhaari chanda maangne aata hai
Apni kismat nahi, us bhikhari ki kismat par
Use chanda maangne ke liye poori duniya mein main hi mila tha?


Main to itna gareeb hoon
Ki aaj tak credit card nahi liya
Kyunki meri aukaat kiryana waale tak hi hai
Aur wahaan kisi card-vard ki aavshyakta nahi padhti


Main to itna gareeb hoon
Ki apne seniors se increment bhi nahi maangta hoon
Kyunki mujhe pata hai, ki pagaar kitni kyun na badh jaaye
Rahunga to main gareeb hi


Main to itna gareeb hoon
that the only Apple I have is the fruit waala
Gareeb hoon magar itna bhi nahi


Main to itna gareeb hoon
Ki Software Engineer hoon
Isiliye har koi meri gareebi par shaq karta hai
Karne do shaq, I don't care. As they say in Punjabi, saanu ki


Main to itna gareeb hoon
that even my jokes are poor


Main to itna gareeb hoon
Ki kabhi matrimonial par apply nahi karunga
Kyunki har koi paisa aur property ki baat karta hai
Ethics aur self-respect ki ahmiyat ek gareeb hi samajh sakta hai

Photo by Arjun Suri Photography

4 comments:

Sandeep said...

Super

Sandeep said...

Super

Faridoon Shahryar said...

Very nice...last line sums it up lucidly

Yaju said...

@Sandeep - Thank you! :D

@Faridoon ji - Thank you - you really got the actual essence of this post. May god bless. :D