Monday, December 15, 2008
P W K
Priya bachpan mein ek bahut hi seedhi-saadhi U.P. ke gaon ki chori thi. Use Duniyadaari ka D tak nahi pata tha aur itni zyaadi bholi hoti thi ki gaon waalo ko chinta hoti thi ki bade hokar uska kya hoga.
Priya kaha karti thi "Duniya ke saare ladke humre bhai hain, sirif aur sirif ek ko chodh kar, woh hain humre bauji".
Jab Priya badi hui, woh padhaai karne ke liye Amity College, Noida gayi. Wahaan jaakar use pankh lag gaye aur usne udhna shuru kar diya. Aur woh bhi itna zyaada, ki usne kehna shuru kar diya
"Meiiinnn naaaaa, saaaadi karuuungi naaaa, to sirif saaaaru khaan se karoongi...... mein naaa, saaaadi karuuungi naaaaa, to sirif reeeetik rosan se karuuuungi....... mein naaaa, saaaadi karuuuungi naaaa, to sirif ameeeer khaaan se karuuungi......."
-----------------------------------------------------------------------------
Lekin jodiyaan to rab banaata hai. Yaju, jiski harkatein poore Punjab, Haryana, Himachal Pradesh aur Delhi mein charchit thi, se un jagahon par ek bhi ladki nahi pati. Woh itna zyaada desperate ho gaya ki ek rangeeli shaam ko Noida aaya, Atta Market mein. Wahaan usne Priya ko paani-puri khaata hue dekha. Dekhkar Yaju ko kuch kuch hone laga. Kyunki Noida mein bahut garmi thi, paseena uske kapdo ke andar beh raha tha, use khujli ho rahi thi aur woh kar bhi nahi paa raha tha.
Yaju mein SRK ka Casanova-pan nahi tha, na usme Hrithik ka style tha, na Aamir ki personality; lekin uske paas dimaag tha. Usne apne mobile mein "Tujhe Dekha To Yeh Jaana Sanam" bajaana chalu kiya aur lip-synch karne laga. Priya ko laga ki itna achcha gaana Yaju gaa raha hai. Phir kya tha, khuda meharban to gadha pehelwan, do made-for-each-other desperate logon ka chat mangani pat vivah ho gaya.
----------------------------------------------------------------------------
Vivah paschaath, ek din Priya ki poorani saheli Isha usse milne uske ghar gayi. Usne dekha ki ghar ka darwaaza nahi tha, aur saath mein likh raha tha "Darwaaza repair ke liye gaya hua hai, kyunki usme khatkhataane par awaaz nahi aati". Usne door bell bajaayi to awaaz nahi aayi, uske saath mein likh rakha tha "Save electricity".
Isha andar gayi, to kya dekhti hai, ki Yaju pet ke bal bistar par leta hua hai, aur Priya oil se uski peeth ki maalish kar rahi hai, yeh kehte hue
"Yahiiii mere saaaaaru khaaan hain..... yahiiii mere reeeetik rosan hain..... yahiiii mere ameeeeeer khaaan hain.........."
----------------------------------------------------------------------------
Vivah paschaath, ek din Yaju ka ghanisht mitra Abhishek usse milne uske ghar gaya. Veh andar gaya to use Chameli ke tel ki badbu aayi. Usne apni naak band ki aur bedroom ki taraf badha. Andar koi nahi tha, aur bistar par ek kagaz ka tukda padha tha, jis par likha hua tha
"Meri mannaton ki maala, fiza-e-jannat ka ehsaas
Aakhon ki barkat, noor-e-ulfat ka nivaas
Khwabon ki parchaai, jasbon ki kranti
Woh tum thi Priya, haan tum thi"
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment